Urdu Poetry:Apni he sada sunun kahan tak ?Parveen Shakir



Apni he sada sunun kahan tak ?

Jungul ki hawa rahun kahan tak ?
Har bar hawa na hogi dar per

Har bar magar uthun kahan tak ?
Dum ghut’ta hai ghar mein hubs wo hai

Khushbo ke lye apna raffuu karuun kahan 

tak ?
Saahil pe samandaron se bach kay

Mein naam tera likhoon kahan tak ?
Tanhaayi ka ek ek lamha

Hungaamon se qarz loon kahan tak ?
Gar lams nahee tou lafz hee bhej

Mein tujh se juda rahuun kahan tak ?
Sukh se bhee tou dosti kubhi ho

Dukh se hee galay miluun kahan tak ?
Mansoob ho har kiran ksi se

Apnay hee lye jaluun kahan tak ?
Aanchal mere bhar ke phat rahay hain

Phool us ke lye chunuun kahan tak ?